Sunday 29 January 2012

 
 
 Shogar ka ilaaj
Is ke liye aadha chammach kalonji subha sham istamal karain aahista aahista maraz door ho jae ga.

Ganj ka ilaaj
Is ke liye kalonji aur mehndi pees ker sirke main hal ker kay lagaen her do din ke baad lagaya karain kuch arse main baal ugna shuro ho jaen ge.

Sar  darad
Is ke liye jab darad ho to kalonji ka oil ser aur mathay per mal lain darad door ho jae ga.

Yaddasht taiz karna
Is ke liye kalonji ke saat(7) danay pees ker aik chamach shehad aur 10 qatray kalonji ke oil ke saath kha lain.

Motiya ka ilaaj
Ager motiya ke merz ke shuro main kalonji ke oil ka aik qatra rozana aankhon main dalain to motiya theek ho jata he.


Kaan ki sozish 
Is ke liye kalonji aur olive oil hum wazan boil ker kay jab neem garam reh jae to kaan main dalain.


Dant ka darad
Is ke liye kalonji ka oil aur clove oil aik aik qatra mila ker lagaen.

Danton ka mail door karna
Is ke liye lahori namak aag main jala ker bareek pees lain is main chand qatray kalonji ka oil aur serson ka oil mila ker danton per mal lain.

Khansi  theek karna
Is ke liye aik tola alsi koot ker aik pao pani main boil karain jab pani aadha reh jae to chan ker 14 qatray kalonji ka oil aur do tola shehad mila ker pilaen.


Dama (Asthema)  ka ilaaj
Is ke liye namak, kalonji ka oil neem garam ghee main mila ker chati aur galay ki malish karain is ke saath saath 12 qatray kalonji ka oil do tola shehad ke saath pi lain.


 

1 comment:

  1. Kalonji eik buhut bari naimat hay khuda ki taraf say .Iski jitni tareef ki jaye kum hain ..Ajj ki modern research nay bhi sabit kardia hay keh kalonji main buhut si bimariyon ka elaj hay .
    Visit Kalonji keh Faiday Aur Ilaj

    ReplyDelete

Ads 468x60px

Totkay

Followers

Dadi

Dadi Amma

Urdu Romantic Ghazals

Urdu Romantic Ghazals
click here to read more ghazals..

Blogroll

Popular Posts